Thha ek ped phoolo.n se saraabore daaliyo.n se bhara...
Chehchahati thhee.n chidiyaa.n uss par, ho seher ya ho shaam....
Hari hari kachhi kachhi, naram pattiyaa.n kuchh sharmati kuchh lajati si...
Jhaa.nka karti thee.n un phoolo.n ke pardo.n ki ote se...
Dheema sa wo hawa ka jho.nka jab gudgudata kar jata un daaliyo.n ko....
To bheeni bheeni si un phoolo.n ki mehek maano rijhaati thee us baaghbaan ko...
Aur wo baaghbaan jhoom uth.ta thha apne hi paseene se ubhre uss kudrat ke tohfe ki ore dekh....
Naaz thha usse apni is chhoti si takhleeq par...
Shafqat bhari nazro.n se dekha karts thha us naazuk se bhole bhale masoom ko yu.n hi...
Apne aagosh mein aur apni mohabbat ke thande saaye tale mehfooz rakha thha usse...
Aur phir kuchh yu.n hua ke kya kahein...
Din badla, raatei.n badli aur badal gaya baaghbaan...
Us nanhe masoom par ab haq thha is anjaanw, gair ek naye se chehre ka...
Ab to bas wahi thha uska baaghbaan...
Garma gaye wo hawa ke meethe jhonke...aur pa.dne lage garm loo ke thape.de...
Murjha gai.n wo phoolo.n se jhukti narm daaliyaa.n...
Khushk ho gaye wo hare kachhe patte...laaj haya wo gai kaha.n bas jeene ki ik koshish mei.n jabran saa.nsein bharte patte...
Na aab mila na aabshaar raha, na pyaas bujhi na aag ruki...
Aagosh us mohabbat ki aisi hui hawa...bas mili band baa.d ki ek ghut.ti qaid....
Chhin gaye wo thande saaye, hisse aai bas chilchilati badan ko jalati hui wo dhoop...
Bhaap ban ke u.d gaya wo naazo.n nakhro.n ka ras bhara, sharmila, lajata bachpan...
Aaj jo dekhei.n udhar ik nazar, dikhta hai bas ik sookha, khushk, akela, hairaan, ruaa.nsa, thhoo.nth sa...
Aur jo chhoo kar guzre koi jho.nka hawa ka, ik karah si goo.nj jaati hai...bas...jo koi sun le....